Gaonwalon ki satarkta se bacha jangal

Mhasala, Aug 9: Mhasala tehsil main biodiversity se bharpur 5236 hector ka jangal hai. Yahan ke Kelte chandanwadi gaon ke paas ke ilake main rat ke lagbhag 8.30 baje short circuit ke karan aag lag gayi. Lekin gaonwalon ki satarkta ki wajah se badi hani tal gayi hai. Gaonwalone badi tatparta se van-adhikariyon ke inform kiya aur van-vyavsthapan samiti ke prayatno se jangal ki hani hone se bach gayi.

Priyanka Gaykar, Ramesh Rikame, Snatosh Khedekar, Rajesh Dabholkar, Jitendra Gayar  in samajik karykartaone iss main mahttvapurn bhoomika nibhayi.  

Chandanwadi Kelte ilake main reserve forest area main kai sare aushdhi  pedpaudhe aur biodiversity se bharpur jangal yahan ke logon ki wajah se bach gaya hai, aisa vanadhikari Nilesh Patil ne kaha.

 

photo credit: tripAdvisor.com

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks