Grampanchayat ke karmchariyon ka vetan turant dene ki mang

Borli-Mandala, Sept 18: Murud taluka ke grampanchayat ke karmchariyon ko Pichhle panch mahine se sarkar ki taraf se milanewala online vetan nahi mila hai, iss baat se yahan ke karmchari kafi naraj hai. Lekin lockdown ke kaal main yah vetan nahi hua hai. Iss se in karmchariyon ke bure haal ho rahe hai.

Murud taluka main 24 grampanchaye hai aur waha kul milakar 50 log kam karte hai. Covid-19 mahamari main in karmchariyon ne dinrat kam kiya hai. Lekin unko apne kaam ka vetan ab tak nahi mila hai. Pichhle 6-7 mahon se grampanchayat ka bhi vetan nahi mila hai. Aise main unko apne parivar ki chinta sata rahi hai. Aisa hi raha to unpar bhumari ka samay aa jeyega. Yah sab talne ke liye rajy sarkar se turant vetan karne ki mang Murud Talua Grampanchayat Karmchari Sanghtane ke adhyaksha Santosh More kee hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks