Havamanadharit Fal Bima yojna ke prataon ki antim tarikh 30 Navambar

 

Alibag, Nov 19: Pradhanmantri Fasal Bima yojnantargat punarrachit havamanadharit fal bima yojana ka Konkan vibhag ke liye Bajaj Alliance General Insurance company amal karegi.Yah yojna Kokan main Kaju aur Aam aadi falon ke liye hogi, yah jankari kridhi adhikari karyalay ki taraf se di gayi hai.

Nisarg ki aapda aur pratikul havaman inko dhyan main rakhkar falonka nuksan ho jane par kisanon ko bima ka aadhar milega aur unko sahyog dene ke liye yah yojna shuru ki gayi hai. Yah yojna aichhik hai. Yojna ke tahaf Aam ki bima sanrkashit rakam 1 lakh 40 hajar aur Kaju ke sanrakshit rakam 1 lakh rupye hai.

Bima prastav company ko sadar karne ki antim tarikh 30 Navambar hai. icchuk kisan najdiki bank ya E-Seva Kendra se aavedanpatr bhar sakte hai.

Adhik jankari ke liyewww.krishi.maharastra.gov.in website ko bhent de.

 

 

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks