Jangali Sabjiyon ka mahotsav

Shrivardhan, Aug 14: Yahanke Krishi vibhag ki taraf se Jangali sabjiyon ke mahotsav ka aayojan kiya gaya. Jangal main milnewali aur sirf issi season main milnewali sabjinya mahotsav main yahan ke aadivasi log bade paimane par lekar aaye the. Ye saari sabjiyan janglon main khule main naturally ug jati hai aur yahan ke aadivasi in sabjiynno ka aushadhi mahttva janate hai. Yah sabjiya varshonse barish ke mausam main khayi jati hai.

Barish ke mausam main kharab pani ki wajah se pet ki kai sari bimariyan hoti hai. Aise main inn jangali sabjiya khane se pet ki bimar se surksha milti hai.sathi hi ye chemical free hoti hai to waise bhi sehat ke liye bahut labhdayak hoti hai, aisa logon ka manana hai.

Iss saal covid-19 ke chalte ye sabjiyan Mumbai-Pune bheji nahi gayi, iss se yahan ke aadivasi logon ka kafi nuksan ho gaya hai.

photo credit: Gharcha Swad, Youtube channel

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks