Karagruh main manaya gaya Manavadhikar Divas

download-bb966ba8

 

Alibag: Jagtik Manavadhikar Divas ke mauke par Vidhik Seva Pradhikaran, Zila karagruh Raigad-Alibag inhone zila karagruh main vishesh karykram ka aayojan kiya tha. Iss karykram main Ad. Niha Raut ji ne Manavadhikar Divas ke bare main karagruh main bandi bane kaidiyon ko margdarshan kiya. Zila Vidhik Seva Pradhikaran ke sachiv Sandeep Swami iss karykram ke adhyaksha the.

Mavadhikari Divas ka itihas aur uska mahttva, Bharaty Rajyaghatana, moolbhoot adhikar, kaidiyon ke adhikar aur hak aadi vishyon par iss karykram main magrdarshan kiya gaya.

Iss vakt Sandeep Swami aur Niha Raut ji ke sath Sushil Saikar, A.T. Patil, Ad. Vikas Patil, Ad. Shilpa Patil, Pranita Magar adi adhikari aur karagruh prashasan ke karmchari aur nyayadheen bandi maujud the.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks