Kalmboli, Kharghar jaise bastiyon ke bad 1-2 saal pehale CIDCO ne Karanjade bhag ki nirmiti ki. Lekin tabse lekar aaj tak jyada tar suvidhaon ka abhav hi najar aata hain. Niji davakhano main upchar karana bahot mehenga hain, aur corona ke chalate sirf sardi-jukam ka ilaj bhi niji davakhano main nahi ho pata. Isi vajah se yaha par prathamik aarogya Kendra khola jaye ye purani mang hain. Aur is samay uski jada jarurat mehsus ho rahi hain. Is prushthbhumi main Karanjade-Chinchpada bhag main aarogya Kendra bandh ke taiyyar hain lekin uska hastantar CIDCO se jila parishad ko hona hain. CIDCO ne ZP ko 4 khat likhkar bhi abhi tak ye Kendra udghatan ki rah dekh raha hain.
Karanjade sthit Prathmik Aarogya Kendra bina hastantaran ke dhul khata pada hain.
