Borli-Mandla, Oct 28: Murud taluka ke raaston ki halat kisise chhipi nahi hai. Murud-Aagardanda marg ki Khar Amboli se lekar Nandel tak bahut duravstha ho gayi hai. Yah marg Murud-Bhalgaon-Roha iss mukhya marg par hi aata hai. Is ski taraf Bandhkam Vibhag bilkul dhyan nahi de raha. Iss raaste ki turant marammat karne ki mang Maharashtra Navnirman Sena ki taluka upadhyaksha Prashant Bhatkar ji ne kee hai.
Murud parytan ke liye prasidhha hai. Yaha aanewalon ki tadad badi rahti hai. Iss liye raasto ki halat achhit hona jaroori hai. Lekin yahan bilkul viprit chitr dekhno ko milta hai. Murud-Aagardanda marg ke Khar Amboli-Nandle yah lagbhag 6 km ka raasto gadhhose bhara hua hai. Yahan vahan chalana bahut kathin kam hai. Bandhkam prashasan ne iss marg par dhyan dena chahiye. Raaste ki marammat ki mang yahan ke nagrik bhi kai mahinon se kar rahe hai, aisa Bhatkar ji ne kaha.
photo used only for representation