Kharab hava se badh sakta hai Corona ka khatra

download-9a26f217

Murud, Nov 28: Parytakon ki badhti sankhya, niymon ka palan na karana, prashasan ki laprawahi aur kharab hava, in sabhi karnon ki wajah se corona ka khatra Murud main phir se badh sakta hai, aisa kaha ja raha hai.

Rajya sarkar ke  nirnay ke bad phir se parytan joron se shuru ho gaya hai. Murud taluka main, lagbhag sabhi samudri kinare parytakon se khil gaye hai. Aise main social distancing aur mask ka upyog in niyamon ko taak par rakha dekha ja raha hai. Sthanik prashasan bhi un baton ki taraf sahi dhyan nahi de rahi hai.

Aise main pichhle do dinon se taluka main naye chakravat ke karan thandi hava k bahav kafi tej ho gaya hai. Yahan ki hava kafi badal gayi hai. Aisi hava main bukhar-khansi-jukam badh sakta hai. Aur unhi karnon ki wajah se Corona ke virus ka failav badh sakta hai, aisa mana ja raha hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks