Machhuwaron par naya sankat

Murud, Oct 10: Lagbhag 6-7 mahinon baad rajya main unlock ki prakriya shuru ho rahi hai. Yahan phir se parytan shuru ho gaya hai. Hotels aur restaurants phir se shuru ho gaye hai. Iss se sthanik rojgar ko thoda bahut to badhava jaroor milega. Lekin iss ke bawjood, yahan ke machhuware naraj hai. Iska karan hai, unpar aaya naya sankat.

Murud, Rajpuri, Borli, Ekdara, Nandgaon, Khamde yaha bade paimane par kolambi mil rahi hai. Lekin iss kolmabi se har saal jitna fayda hota hai, utna iss bar nahi hoga.

Machhli ki niryat par sarkar ne bandi kar dee hai, yah wajah dekar Mumbai ki kai badi companiyone iss baar kolambi ko kharidne se mana kar diya hai. To iss wajah se yahan ke machhuware kafi naraj hai. Kolambi jyada mil rahi hai, lekin kharidadari kam hai, iss karan sukhi kolmabi ko kam dam main becha ja raha hai.  

Machhuwaron ki halat iss saal kafi bigad gayi hai aur sarkar se madad ki apeksha kee ja rahi hai.

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks