Mahad durghatna: 40 ghanton ka shodhkary aur madad

Mahad, Aug 27: August 26 ki shyam Tariq Garden naam ki mehej kuchh hi saal purni 5 manzila building miniton main dher ho gayi aur kai zindagiyan issi main dafan ho gayi. NDRF aur kuchh volenteers ne madad se 40 ghante bachat kary chalta raha. Iss durghatna main Directorate General of Information and Public Relations (DGIPR) he andaaje se (26 August subah 7.45am tak) 14 aur sthanik newspapers ke hawale se kul 16 logon ki jaan gayi hai.

Rajya sarkar ki taraf se mrit logon ke gharwalo ko Rajy Disaster Relief Fund se 4 lakh aur Mukhyamantri Relief Fund se 1 lakh aise kul 5 lakh rupayon ki madad ki ghoshana ki gayi hai. Jamkhmiyon ko pachas hajar milnewale hai. Iss durghatana main bache huye 4 saal ke do bachhon ki jimmedari Nagar Vikas Mantri Eknath Shinde ji ne lene ki ghoshna kee hai.

Kai ghanto main mitti-cement ke dher main dabe rahne ke bawjood 4 saal ke bachhe ko aur 60 saal ki aurat ko sahi salamat bachaya gaya. Yah baat Marathi news channelon par khub surkhiya batori.

Lekin kahi na kahi iss durghatana ke doshiyon ke bare main utni news dikhayi jaa rahi hai, iss baat se log naraj hai. 

 

photo credit: Twitter

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks