Mahad main logon main gussa

Mahad, Aug 24: Tariq Garden naam ki mehej 10-12 saal purani paanch manzila building girnese logon main kafi gussa hai. Aam aadami marte hai, lekin usase kisi ko kuchh farak nahi padta, kharab construction ko jimmedar kisko tharaya jaye? yah sawal log utha rahe hai.

Iss ghatna se 1 ki mrityu ho gayi hai. Ab tas 60-70 logon ko rescue kiya gaya hai aur abhi bhi kam se kam 25 log fase hone ka andaja hai. Ziladhikari Nidhi Chaudhary, guarding minister Aditi Tatkare aadi ne tatkal iss jagah pohonchkar janch-padtal ki. Yahan ke MLA Bharat Gogawale ne bhi logon ko dilasa diya. Mukhymatri Uddhav Thakarey, upmukhyamantri Ajit Pawar ne ghatna ki jankar lee aur prashasan ki taraf se puri madat dene ka aashwasan diya.   

 

Building girne yah ghatana purani nahi hai. Mumbai, Nai Mumbai aur baki kai jagahon par bhi building gir jata hai, shok jataya jata hai aur fir sab bhool jate hai. 10-12 saal main nayi building gir jati hai iss ke liye koun doshi hai, yah sawal uth raha hai.  kharab, niyamon ka palan na karte huye kiye janewale construction ke liye kisi ko jimmedar nahi thahraya jata, saja nahi hoti. Contractors, designers, supervisors, persmission delewale officials aadi log kabhi bhi puchhtachh ke dayre main bhi nahi aate, iss baat se aam aadami kafi naraj hai.

 

photo credit: twitter handle, Jay Gore

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks