Maharashtra ke machhue corona infection ka samna karke machhali pakadne ko firse shuruvat karte hi, dusre rajya ke machhuaro ne maharashtra rajya me samudri sima me aana shuru kiya hai. Ghuskhori karke rajya ke machhuaron ke hakk ka lakho tan machhali ki loot kar rahe hai. Jiske karan machhuaron me gusse ki bhavana hai.
Bandi ke niyamon ko najar andaaj karke Aandra Pradesh, Tamilnadu, Kerala, Karnataka, Goa, Gujarat ke sainkdo machhuare maharashtra ke samudri sima me avaidh tarikese ghuskhori kar rahe hai. Rajya ke machhali pakadne vali boats 200 horse power kshamta ki hai. Lekin, dusre rajyon se aane vali boats 200 se 427 horse power kshamta ki hai. Yah machhuare rajya ke machhali pakadke le ja rahe hai. Dusre rajyon ki machhuaron ki sankhya din ba din badhti ja rahi hai. Kuch machhuare machhali pakadne ke baad Mumbai sassoon dock aur kasara bandar (bhaucha dhakka) yaha bikri karte hai.