Chakravatpidit abhi bhi madad ki pratiksha main

Murud, Spet 10: June mahine main Nisarga chakravat ne bahut kuchh tabah kar diya. Yahan ke samundar kinare ke chhote stalls aur tapariyon ka bada nuksan ho gaya tha. Nariyal ke ped aur bijali ke khabme girne se kai tapariyan puri tarike se barbad ho gayi hai. Lekin un tapariyon ke malikon ko abhi tak prashasan ki taraf se koi madad nahi mili hai. 15 september tak agar madad nahi mili to 16 tarikh se uposhan ka ishara Padmdurg vyavsayik sanghtana  ke adhyaksha Arvind Gaikar ne diya hai.

Cyclone ke 100 din baad bhi madad ki pratiksha karnewalon ki taraf dhyan dene kee appeal Shri Gaikar ne kee hai. Issi silsile main unhone yahan ke sansad Sunil Tatakare, guardian minister Aditi Tatakare, MLA Mahendra Dalavi aur tahasildar Gaman Gavit, mukhyadhikari Amit Pandit in sabhi ko aavedanpatra diya hai.

Murud beach per 44 official stalls hai, unse lagbhag 4 lakh ka revenue har saal nagarpanchayat ko milta hai. Unki taraf prashasan ko dyan dena hi chahiye aisa bhi Arvind Gaikar ne bataya.

photo credit: the hindu (used as representative)

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks