Maratha Kranti Morcha ka andolan

 

Murud, Sept 30: Maratha Kranti Morcha ki taraf se kal yahan ke tahsildar karyalay ke samne aandolan kiya gaya. Supreme court ne Marathi aarakshan ko sthagit kiya hai.Abhi bhi yah case nyanpravisht hai. Aise main Maharashra sarkar ne police bharati ki prakriya shuru karne ka nirnay liya hai, iss baat se naraj Maratha log aandolan karne ke liye tahsildar karyalay ke bahar jama ho gaye the. .

Shahar ki Dattwadi ilake ke Shivaji Maharaj ke pratima ko pushaphaar arpan karke Morcha ki shuruvat huyi. Morcha netruttva Dattaray Bhosale ji ne kiya.

Maratha samaj ko jab tak kanuni taur par aarakshan nahi milta tab tak police bharati na kare yah unki pramukh mang hai. Agar sarkar bharati ki prakriya sthagit nahi karti to 5 October ko bada andolan chhedane ka ishara Bhosale ji ne diya.

 Iss vakt Maratha Kranti Morcha ke Rajan Mankar, Vasant Gaykar, Vijay Surve, Bharat Belose, Sunil Chalake aur baki andolankarta upsthit the.

 

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks