‘Mazi kanya Bhagyashri’ yojana ke tahat 208 labharthiyon ko mile 52 lakh

ladkiyon ka janmdar badhane ki koshish

 

Alibag: Rajya main ladkiyon ka janmdar badhane ke liye prashasan ki taraf se Ekatmik Balvikas Seva Yojna ke tahat ‘Mazi Kanya Bhagyashri (Sudharit) yojana prabhavi tarike se karyanvit ki ja rahi hai. Iss yojna ke tahat pahli beti ke janam ke baad kutumb niyojan opration karne par bati ke bank account main 50 hajar aur do betiyon ke janam ke baad operation karvane ke baad har ek beti ke bank account main 25-25 hajar jama karvaye gaye hai. Zila parishad e Mahila aur Balkalyan Vibhag ne iss yojna ke tahat 208 labharthi ladkiyon ke bank account main 52 lakh rupye bante gaye hai. Yah jankari Upmukhya Karykari Adhikari Nitin Mandlik ji ne di hai.

Ladkiyon ka janmdar badhana, ling chunane par pabandi lagana, ladkiyon ke shiksha ko badhava dena, unke swasthya ka star uncha karna in hetu ke sath yah yojna 2016-17 se shuru ki gayi hai. Zile se aur 40 prastav zila parishad ko sadar huye hai, jo abhi pralambit hai. 208 labharthi milna, iss yojna ka yasha bataya ja raha hai.

Pahli ya phir 2 betiya ho janepar operation karvane wale parivar ki ladkiyon ko iss yojna ka labh mil sakta hai.  

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks