Murud, Nov 16: Janjira jaldurga, yahan ke sundar aur saaf kinare aur prakrutik sundarta la anand lene ke liye hajaron ki tadat main parytak aate hai, to media main issi ke bare main likha jata hai. Lekin yahan ki samsyaon ke bare main media main jayda kuchh likha nahi jata. Dinbhar main ekhad news chhapti hai, kabhi kabhi to sirf photo news par hi kam chalaya jata hai.
Yahan ke kharab raaste, bhari load-shading, peene ke paani main katouti, jalvahtuk vyavsayikon ki pareshani aur kisanon ki adchane unke bare main media bhi kam hi likha jata hai. din bhar main Murud se ekhad hi news media main chhapak aati hai. Media ke iss durlaksh ka parinam yahan ke prashasan par bhi dikhta hai. Media ka dabad na hone ki wajah se prashasan kam karne main aalasi ban chukka hai. Sthanik netaon ka bhi mahttvapurn muddon se jyada baki muddon par hi jyada dhyan hota hai.
Mini Gao, dhaan ka aagar aur parytakon ka aakrashan Kendra Murud yah garima banaye rakhne ke liye stanik prashasan ko adhik kam karna padega aur yahan ke sthanik neta aur media ka dabav rahne hi hoga.