Mukhyamantri Sahayta Nidhi se Kokan ki upeksha, MLA ka aarop

 

Alibag, Nov 17: Corona vishanu se ladhne ke liye Kendra ke Pantpradhan Sahayata Nidhi ki taraf se Kokan ke panch zilon ko 279 ventilators diye gaye the. Lekin rajya ke Mukhyamantri Nidhi ki taraf se yahan ke hospitals ko koi vishesh madad nahi mili. Isliye mukhymantri Nidhi ke mamle main Kokan ki upeksha ki gayi hai, aisa aarop BJP ke MLA Niranjan Dawkhare ne kiya hai. Unhone kaha ki Ratnagiri ki RTPCR laboratory ke 1 karod 7 lakh ka nidhi chhoda to Kokan ke baki zilon ke hospitals ko kisi bhi prakar ki sahayata Mukhyamantri Nidhi se nahi ki gayi. Jab ki Kendra se Pantpradhan Sahayata Nidhi ki taraf se 279 ventilators, 256 jumbo cylinders aur 371 three type cylinders diye gaye the. Jinka pura istemal kiya gaya tha.

BJP aamdar ke iss arop se mahamari ke kal main bhi rajkiy paksha ekjut hokar kam nahi kar sakte yahi samjmain ata hai.  

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks