Murud: Kuchh dinon pahle sarvajanik bandhkam vibhag ki araf se yahan ke gaddhe bujane ka kam joron se shuru kiya gaya tha. Nandgaon se iss kam ka shubharambh kiya gaya tha. Yah kam Kashid tak chala, Majgaon grampanchayat ki had tak gaddhe bujaye gaye, uske baad yah kam bilkul band kar diya gaya hai. Pichhle ek mahine se gaddhe bujane ka band hai. Majgaon se lekar Aagardanda tak 16 kilometer ka raasta bahut hi kharab ho gaya hai. Iss se yahan ke sthanik aur bahar se aanewale parytak bhi bade naraj hai, iss ke bare main kai bar shikayat bhi ki gayi hai, lekin uska kuchh nahi hota.
Murud taluka ke Majgaon, More, Vihoor, Telwade, Sheeghre, Amboli, Khokari, Agardanda aur Murud shahar ke raaste gaddhon se bhare pade hai. Pareshan nagrik gaddhe bujane ka kam jald se jald pura karne ki mang kar rahe hai.
photo: file phote. barish ke dinon main agardanda raasta.