” Murud Main 794 Hector Kshetra Ka Nuksan ” – Kisan Pareshan

images-ac938e5d

TUPHAN KI VAJAH SE MURUD ME 32 PRATISHAT KHETI KA KSHETRA PRABHAVIT. 

Nisarg tuphan ki vajah se Murud taluka ke 2503 hectar kheti ke kshetra me se 794 hectare kshetra prabhavit huwa hain. Nuksan ka panchnama pura hone ke baad Murud taluka ke Nariyal, supari, aam ke bago ka bhari nuksan huwa samne aaya hain. Nuksan ke praman me sarkar se di gayi bharpai bahot kam malum pad rahi hain. Nariyal aur supari ke pedo ke girne se is bhag me nariyal ki kami nirman hui hain, aur jada kimat se nariyal ki bikri ho rahi hain. 20 takka aam ke bag 50 salo se bhi purane hone ke karan unka bhari nuksan huwa hain. Tulna ke hisab se supari ka sabse jada nuksan huwa hain. Naye bag taiyyar hone me 10 sal lag sakte hain, tab tak kisano ko unke fasal ke liye intjar karna pad sakta hain.

Sarkar ki taraf se aam ke liye 50,000 prati hectare, Nariyal ko 250 prati ped, aur supari ko 50 rs prati ped bharpai ghoshit ki gayi hain. Dekha jaye to Aam ke ek ped se 10,000/-,Nariyal se 2,000 air supari se 1,000 Rs har sal ki aamdani hoti hain, jiske mukable sarkar se mili madat kafi kam sabit hogi aur kisano ko wapis paise kamane ke liye 10 sal tak intjar karna pad sakta hain.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks