Murud main kharab raston ke karan log pareshan

Murud, Sept 13: Murud main kharab rasto ke karan log pareshan ho gaye hai. Barbar prashasan se iski shikayat karke bhi raston ki halab sudhar nahi rahi hai.

 Murud ki arthvyavstha parytan par nirbhar hai. Lockdown main 4 mahinon se parytan puri tarike se band tha aur iska sidha asar logon ke rojgar par hua hai. Unlock ki process shuru hote hi band parytan kam sankhya main hi sahi fir se shuru ho raha gaya hai. Lekin kharab raston ki wajah se parytak kafi naraj hai. Murudwasiyon ne iske bare main kai baar prashasan ko likha hai, rasto ko thik karne ki mang ki hai lekin prashasan ki taraf se koi kadam uthaye dikh nahi rahe hai. Lagatar bhari barish ke karan raste kharab ho gaye hai aisa prashasan ka kehana hai.

Ab iske bare main log social media par bhi likh rahe hai.

Photo credit:Prasad Chaulkar, Facebook

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks