Murud Parytan Mahotsav par Corona ka saya

Pichhle saal ka Mahotsah ka banner

 

Murud: Murud-Janjira nagarparishad ki taraf se har sal 29 December se lekar 1 January tak Murud Parytan Mahotsav bade utsaah ke sath manaya jata hai. Iss main alag-alag prakar ke sanskrutik karykram pesh kiye jate hai. Lekin iss saal iss mahotsav par Corona ka saya chhaya hua hai. Iss saal Mahotsav ka aayojan karna mushkil dikh raha hai.

Har saal aayojit iss mahotsav main hajaro log sahbhagi hote hai. Aise main mask ka upyog aur social distancing  ka palan karte huye iss mahotsav ka aayojan mushkil hi lag raha hai, aisa Mahostav samiti ke adhyaksha Aadesh Dandekar ji ne kaha hai.  

Har saal December main pahle hafte main hi nagrikon ki sabha aayojit karke mahotsav samiti ke adhyaksh aur upadhyaksh ki niyukti ki jati hai. Lekin iss saal abhi tak yah sabhi hi nahi huyi hai. Issi karan iss mahotsav ke aayojan pe prashn upsthit ho rahe hai.

 

photo credit: Facebook Page, Murud Janjira Parytan Mahotsav 2019.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks