Havaman khate ke anusar murud taluka me lagatar do din halkisi barish shuru hone ke karan janjeevan puri tarah se tahes nehes ho gaya hai. Jordar barish barasne ke karan nadi – nala bhar bhar ke beh rahe hai. Usi tarah khet me pani jama ho gaya hai, to agardanda bandar me 200 se jyada naukaen sthir ho gayi hai.
Murud taluka me barish ne 3,000mlt par kiya hai, abhitak 3,085mlt itni barish hui hai. Gehre samundar me jorose havayein aur tufan chalne ke karan 200 se jyada naukaen agardanda bandar me sthir ho gayi hai. Prashasan dwara ruka di gayi naukaon ki dekhbhal ki ja rahi hai, unhe lagna vala pani aur diesel ya rationing saman par dhyan diya ja raha hai.