APMC me 1,027 logon par hui karvayi

6885173758_828b6cc3ae_w-debb03ae

Mumbai krishi utpanna bajaar samiti me mask na lagane valon par karvayi karne ki shuruvat ki hai. Abhi tak 1,027 logon par karvayi kar, unse 1 lakh 32 hajaar jurmana vasul kiya gaya hai. Sabji mandi, phal aur anaaj market me niyamon ka sabse jyada ullanghan hone ka dikhai diya hai.
APMC market me bhi corona ka pade praman par prakop hua hai. Mumbai aur navi mumbai ke vyapari yahapar kharedi ke liye aksar aate hai. Corona ke karan market ke behat se vyaparion ka mrityu bhi hua hai. Isliye bajaar samiti ne suraksha ke liye avashyak hal nikalne ko shuruvat ki hai. Pravesh dwar yani entry gate par temperature aur oxygen check karne ki yojana ki gayi hai. Market me barbar davai ka chhidkav yani sanitize kiya ja raha hai. Gadiyon ko bhi sanitize kiya ja raha hai.
Market me suraksha ke liye social distancing ke niyamon ka palan kare, mask ka istemal kare aisa aadesh diya gaya hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks