Mushkil main machhli vyavsaay!

 

Murud: Taluka main lagbhag 700 boats machhli vyavsay main istemal ki jati hai. Hajaro log iss vyavsay par pratyaksh ya apratyaksha nirbhar karte hai. Parytan aur machhli vyavsay se taluka ki arthvyavstha chalati hai. Machhli vyavsay se taluka ko videse bhi paise milte hai. Jisse yahan ka vikas hota hai. Lekin pichhle kuchh mahinon se yah vyavsaay aarthik sankat main aata dikh raha hai. Iss karan hajaro logon par berojgari ka sankat aa sakta hai. Pichhle kuchh mahinon se mausam main kai badlav aaye hai. Barish aur chakravat ke prabhav ke karan machhli milna mushkil ho gaya tha. Dusari taraf diesel ka partava unko nahi mil raha hai. Covid ke failav ke karan videsh janevali viman seva band hai to machhli videsh nahi bheji jati. Mumbai  main bade vyavsayik jjinke paas cold storage hai, unka kahan hai ki unke storage full ho gaye hai. To pahle se hi kam milewali machhli ko kam daam main sthanik bajar main hi bechne ki naubat yahan ke vyavsayikon par aayi hai. Iss karan unka bada aarthik nuksan ho raha hai.

Murud main cold storage jaldi banvane ki aur vyavsayikon ki sarkar se madad milne ki mang yahan ke machhuvare kar rahe hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks