Nandgaon beatch kachre ka dumping ground

IMG-20200926-WA0010-b061c2c7

 

 

 

Nandgaon, Sept 26: Kokan jana jata hai saaf sudhre aur prakrutik soundary ke liye. Kai log shant aur sundar beaches ka anubhav lene har saal yahan aate hai. Aur iss parytan se yahan ke logon ko hi fayda hota hai. Lekin yah chitr badlta dikh raha hai. 

Murud ke paas Nandgaon beach aisi prakrutik soundary ke liye mashhoor hai. Lekin ab yah kachre ka ek dumping ground ban gaya hai. Yah kachra yahan ke beaches ko kharab to kar hi raha hai aur sath sath barish ke karan hava aur pani ko bhi pradushit kar raha hai.

Iss saal corona virus ke prabhav ke karan pichhle chhah mahinon se parytan band hai. Jis tadad main har saal parytak aate hai, utne iss saal nahi aaye hai to stahnik prashasan ko yah kachra saaf karana aasan tha lekin aisa nahi hua hai.

Ab unlock ki prakriya dheere dheere shuru ho chuki hai agar fir se parytakon ko aakrahit karana hai to yah beaches turant saaf karne ki mang sthanik kar rahe hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks