Agardanda, Oct 6: Corona ki wajah se iss saal sabh tyaohar bilkul sadagi se manaye gaye hai. Ganeshotsav ke baad ab baari hai Navratri kee. Iss mahine ki 17 tarikh se Navratri shuru honewali hai. Lekin iss saal Corona virus ka prabhav se yah utsav bilkul fika honewala hai.
Ek taraf devi ki murat banana ka kam shuru hai aur bazar bhi sajane laga hai to dusari taraf garba, dandiya aise karykramon par bandi hone ki wajah se yuvo varg kafi naraj dikh raha hai. Navratri ka utsaah manane ke liye rajya sarkar ne niyamawali ghoshit kee hai. Aur un niyamon ka palan karne ki jimmedari sthanik prashasan par hogi.
Niymanon main murat ki unchai, bhid niyantran, social distancing, aarogyvishayak sandesh, Mera Parivar, Meri Jimmedari muhim ki janjagruti ke sandesh, Mask ka upyog inpar jyada jor diya gaya hai.
photo credit: the chronicles of a creative mind (used for representation)