Navratri me prashasan ko sahakarya kare

15435300210_1b627dba5e_w-597bdcc9

Karlekhind : is saal navratri utsav covid – 19 ke infection ke karan niyam aur sharton ke adhin rahkar sidhe sadhe tarikese manaya jaega. Isliye sarvjanik navratrotsav mandal aur police patil alibag yaha bhagylaksmi hall me vichar vinimay hua.

Covid -19 ka failav abhi tak ruka nahi hai, isliye konkan ka sabse bada Ganesh tyohar bhi sidhepan se manaya gaya, usi tarikese navratri tyohar bhi manaya jaega. Durga devi ke murti ki unchai 4ft se jyada nahi hogi, mandap me har insaan dwara niyamon ka palan karna anivarya hoga. Mask ka istemal karna, samajik antar rakhna, raste par yatra na nikale, 10 se jyada log upasthit na ho. Navratri utsav me haldi kumkum jaise karyakram na rakhe. Dandiya, garba aur Baki sanskrutik karyakramon par bandi lagayi gayi jaegi.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks