Murud: Murud shahar se 5 kilometer ki dooripar Garambi dam hai. Isko san 1870 main Nawab Sir Siddhi Ahamad Khan ji ne banwaya tha. Ek samay tha, jab bina kisi pump ke gravity se hi iss dam ka pani Murudwasiyon ko pine ke liye milta tha. Lekin KharAmboli dam banane ke baad iss dam ke pani ka istemal band ho gaya aur Murud ki shan kahlane wala yah dam durlakshyit ho gaya. 140 saal purane iss dam ko marammat ki bahut aavshayka hai.
Iss dam ke aaspaas kafi Ghana jangal hai. Dam ke aaspaas kai zarane hai. Anek tarah ke pakshi aur unke aavaj man moh lete hai. Sahi tarike se iss dam ka vikas kiya gaya to yah ek behtarin parytan Kendra ho sakta hai. Lekin uske liye funds ki jaroorat hai.
Nagradhyaksha Sneha Patil ji ne kaha ki unhone khud dam parisar ka vikas aarakhada banvaya hai. Iss dam ke pas mineral water plant shuru kiya ja sakta hai aur funds milane se yah ek behtarin parytan Kendra ke roop main viksit kiya ja sakta hai.