Nisarag Chakravat ke piditon ke liye Kendra se 268 karod 56 lakh ki madad ghoshit

nisarga-PTR news-fe6de549

Mumbai, Nov 14: June main aaye Nisarg Chakravat ki wajah jo nuksan hua tha, uski bharpai ke liye rajya sarkar ne 1065 karod rupyon ki madad ki mang ki thi. Uske jawab main Kendra sarkar ki taraf se Kendra ki taraf se 268 karod, 56 lakh rupyon ki madad ghoshit ki hai. Yah nidhi Rashtriya Aapda  Aaksmitata Nidhi main se diya gaya hai. Nidhi ki rakam se rajya sarkar kafi naraj hai.

Keval Raigad zile main 1700 ghar poori tarike se aur 1lakh 90 hajar gharon ka kam-jyada nuksaan ho gaya hai, 48 hajar kisanon ki 16 hajar hector kheti ka nuksan ho chuka hai. Iss chakravat se Mahavitaran ka 150 Karod rupyon ka nuksan ho gaya tha. Ek kendriya pathak ne Konkan vibhag ko bhent de kar nuksan ka jayja liya tha. Uske baad bhi madad ke taur par 268 karod ki madad ki ghoshana se rajya sarkar kafi naraj hai.

Sawal yah bhi hai ki nuksan badhiton ko aakhir kab tak sahi bharpai ka intejar karna padega?

 

photo credit: PTR news.com, used only for represention

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks