Nuksangrast Kisanon ko madad milana hua shuru

job vacancy-0c7dea74

 

Agardanda, Nov 21: Murud taluka main vapasi ke barish ne 3351 kisanon ka bada nuksan kiya tha. Nuksangrast kisanon ke khet ka panchnama revenue vibhag, krishi vibhag aur panchayat samiti ki taraf se kiya gaya tha. Ab tahsildar karyalay ki taraf se nuksangrast kisanon ko madad milna shuru ho gaya hai. Ab tak 1800 kisanon ke bank account main 54 lakh, 5 hajar 378 rupye bante gaye hai.

Taluka main 1063.50 hector kshetra badhit hua tha, jis main 3351 kisanon ki dhankehti ka nuksan hua tha. Sarkari niymon ke anusar ab tak 1800 kisannon ko bharpai mil gayi hai. Dhan kheti ke liye 10 hajar prati hector aur falbag ke nuksan ke liye 25 hajar prati hector nuksan bharpai di gayi hai. Baki bache kisanon ko bhi jald hi madad mil jayegi aisa Nayab Tahsildar Ravindra Sanap ji ne kaha.

 

photo credit: job vacancy, image used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks