Murud, Oct 21: Lockdown main jyada tar log online kam kar rahe hai. Lekin iss main online dhokadhadi ke cases bhi badh gaye hai. Aisi hi ghatna yahan ghati. Online kapde kharadadari karte samay yahan ki ek mahila se dhokadhadi ka mamla samne aaya hai. Iss mahila ko online shopping main 41 hajar ka chuna lagaya gaya hai. Is ki Murud Police station main shikayat darj ki gayi hai.
Police ne dee jankari ke anusar, 11 August se 2 Aktubar ke beech yah dhokadhadi ho gayi hai. Sardar Patel road pe rahnewali ek mahila se Bulk-MMM-Official-Myshippyfi.com iss company ki website se kuchh kapde kharid ke order de dee. Order ke 250 rupye bharne ke baad bhi unko order nahi mili. Unhone phone karke puchhtachh ki. Phir unko usi number se wapas call aaya, aur samnewale ne Bulk-MMM-Official-Myshippyfi.com is company se bol raha hu aisa jataya. Aapki order cancel huyi hai aur refund ke liye usne shikayti mahila se bank detail puchhe aur google pay par apna balance check karne ke liye kaha. Issi dauran iss mahila ki Bank of India, Murud shakha se 41 hajar 246 rupye debit ho chuke the.
Iss baare main anjan vyakti ke khilaf shikayat darj karva lee hai. Police Niriksha S.P. Jaitapurkar adhik janch kar rahe hai.
photo credit: hindi goodreturns