Paali bhasha ko punarjivit karna aavshyak: Dr. Sonone

download (1)-020ca3a4

Murud, Nov 23: Bharat ke itihas aur sanskriti ka kai prakar ka sahitya Paali bhasha main hai. Kai mashhoor jagahon par chaitya, stoop, sthambh, Shilalekh inmain bhi Paali bhasha ka upyog kiya gaya hai. Bharat main Boudhha kaal main log Paali bhasha ka hi upyog kiya karte the, aisi aitihasik mahttva rakhnewali bhasha nashta hone ke marg par hai. Iska sanvardhan karna jaroori hai, aisa Dr. S.M.Sonone media se batchit karte vakt kaha.

Maharashtra main Pardhi, Banjara, Wadar, Marwadi, kokane aise kai samuh hai jo apni Hindi/Marathi ke sathi hi apni matrubhasha ka bhi istemal karte hai. Lekin Paali bhasha ke bare main aisa nahi hua. Yah kisi samuh ki bhasha na hone ki waja se ab mar rahi hai.

Uski ko punarjivit karne ka prayas Rajshri Shahu Mahavidyalay, Latur aur Paali Bhasha Prashikshan Kendra sanyukt tarike se Paali bhasha ka online short term course shuru kar rahe hai. Jismain Paali bhasha ko sikhaya jayega aur uska pramanpatr bhi diya jayega. Iss se rojgar ke mauke bhi badh jayenge, aisa bhi Dr. Sonone ji ne kaha.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks