Padmdurga ki aur prashasan aur shivpremiyonka durlaksh

 

Murud, Oct 23: Yahan ke Janjira kile ko dekhne ke liye door door se log aate hai. Sab kilon main Janjira ek alag jaldurga hai, jiska saudarya 300 salonke baad bhi teeka hua hai. Lekin aisa hi aur uske paas hi dusra ek jaldurga  jo sakshat Shivaji maharaj ne bandhwaya tha, wah Padmdurg aaj puri tarak se upekshit khada hai.

 Shivaji maharaj aur unke sathi Janjira par vijay hasil nahi kar sake the. Lekin samudra raston par niyantran ka mahttva jankar Maharaj ne Janjira jaisa hi dusra jaldurga banwaya tha, wo Padmdurg se jana jata hai.

Murud aanewale parytakon ke liye Janjira ek pramukh  aakarshan ka Kendra hota hai. Is wajah se yahan tak jane ke liye kai suvidhaye uplabdh karayi gayi hai. Lekin dusari taraf Padmdurga tak jane ke liye na hi niymit roop se boating hai aur na hi boats ko thahrane ke liye dhakka hai. Itihas ka sakshi rahnewala yah jaldurg ab khud itihas banana ki kagar par hai.

 

Iss kile ki sanvardhan ke liye sthanik prashasan aur Shiv aur gad-premiyon ko aage aakar kam karne ki jaroorat hai.

 

photo credit: Mi Murudkar, Facebook page 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks