NH66 mahamarg ka kaam jor se chalu hain, jisame kai jagah flyover aur bypass ke kam huye hain. Jisaki vajah se anek vyapario ko apani dukane dusari jagah le jani padi. Jo Dhabe ke majdoor gav chale gaye hain wo jadatar laute nahi hain. Usake alawa Poladpur bus sthanak main bhi sevaye band hone se pravasi nahi hain. Usaki vajah se yaha par sthit chai wale, phal wale, juce centre jaise kam karne walo ko apani dukane band rakhni pad rahi hain. Aur jo bhi pass leke bahar niklate hain woh ya to ghar se khana le aate hain ya parcel seva labh lete hain.
Poladpur bus sthanak ke vyavsayik sankat main.
