Murud: Unlock ki prakriya ke baad yahan parytak bhari sankhya main aa rahe hai. Jisase dhili par gai Murud ki arthvyavstha phir se sambhalane lagi hai. Band pade kai vyavsay phir se shuru ho gaye hai. Lekin Murud ki arthvyavstha jis par nirbhar hai, un parytakon ko achhi suvidha dene main prashasan bilkul nakamyab pad raha hai. Janjira kile par parytakon ke liye kisi prakar ki suvidha uplabh nahi hai, jisse aanewale parytak kafi nirash dikh rahe hai.
Naye saal ke swagat aur Chirsmas ki dhoom main yaha badi sankhya main parytak aa rahe hai. Lekin kile par na pine ka paani uplabdh hai aur na hi shauchalay ki suvidha hai. Iss baat se parytak kafi naraj hai. Parytakon ko le janewali boats lagane ke liye badi jetty bhi nahi hai. Iss ke karan boatwalon ko pareshani hoti hai. Aur waha bhid bhi ho jati hai. Jetty ke liye 2017 se mang ki ja rahi hai aisa Pravasi Sanghtnaa ke adhyaksh Shrikant Surve ji ne kaha.
Yahi chalta raha to iska bura asar parytan par jaroor hoga. Iss baat ka prashasan ko dhyan rakhna chahiye.
photo credit: the top tours