Alibag: Awara kutton ke katane ki vardaten zile main kafi badh gayi hai. Pichhle 11 mahinon main 705 logonko kuttone kata hai. Har saal kuttonke katane ka praman 50% se badh raha hai. Yah dikhai deti hai, use bhi kahi jyada gambhir samsya hai.
Aarogya vibhag ke aankadon se yah sabit hota hai ki har saal kutton ke katane ki vartadon main badhotari huyi hai. Grameen bhag main palatu aur shahari bhag main aawara kutton ki dahashat si nirman ho gayi hai. Dinbhar main lagbhag 60 logon ko kutton ke hallon ka samna karana padta hai. Yah kafi gambhir samsya hai. Raat ke samay yah samsya adhik gambhir ho jati hai. Kaam se laut rahe aur tahalane ke hetu sadakon par ghumna mushkil ho gaya hai.
Sarv samanya nagrik kafi ghabraye huye hai. Aur prashasan se iss samsya ka jald se jald hal nikalane ki mang kar rahe hai.
photo credit: jagran.com