Raktchandan taskari karnewale addepar chhapa, teen ki girftari, karodon ka maal japt

raigad police-54782064

Naralwadi, Sept 13: Neral police chauki ki had main aanewali Naralwadi gaov main goat farm ke naam par chal rahe raktchandan ke taskari ke addepar police ne chhapa mara. Iss karywahi main 1 crore 87 lakh 50 hajar ka gairkanuni raktchandan aur 62,200 ha dusara saman, aisa kul milakar 1 crore, 88 lakh 12hajar se jyada ka maal baramad kiya.

Yah karywahi central beauro of investigation ki sthanik shakha ke adhikariyon ne kee hai. In main J.A.Shaikh ke netruttv main aur Adhikshak Anil Pawaskar ke margdarshan par kee gayi.

Iss mamle main goat farm ke malik aur uske do sathidaron ko girftar kiya hai. Yah kathit goat farm panch akad main faila huva hai. Aur police ka shak hai ki yahan aur bhi awaidh raktchandan ho sakta hai. Khas baat yah hai, ki nakali goat farm chalane ke liye sarkar se anudan bhi liya gaya tha.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks