Revdanda: Mumbai ke itane paas hokar bhi zile ke pramukh shahar main aaj bhi achhe raaste, peene ka saaf paani, niyamitroop se bijali aur saaf hava inhi adhikaron ke liye ladana pad raha hai.
Yogya dumping ground na hone ke karan Revdanda aur Chaul grampanchayat ke raaston par kachre ka samrajya chha gaya hai. Jisase bhayankar durgadh faili huyi hai aur nagrikon ka swasthya khatare main hai.
Ek to logon main kachre ke vyavsthapan ki jagruti hi nahi kee jati aur dusari baat kachre ka vyavsthapan bhi thik se nahi hota. ‘Yahan kuda-kachara na bhenke’ aise board lagan eke bajwood kachara wahi fenka jar aha hai. Gaon main kachr uthane ke liye ghantagadi bhi niyamitroop se nahi aati, yah bhi ek karan bataya ja raha hai. Iss kachre ki durgandh se keval sthanik hi nahi, iss raston se aane-janewale yatri aur parytak bhi kafi naraj hai.
photo credit: News18 Hindi. Image used only for representation