Sabjiyon ke daam badhe, log pareshan

 

Agardanda, Oct 21: Wapasi ke barish ne aisa nuksan kar diya hai jis se uthrana bahut kathin dikh raha hai. Iss main ek aur pareshani shamil ho gayi hai. Barish ke karan Navratri main sabjiyon ke daam bahut badh gaye hai. Koi bhi sabji ho 60 rupye kilo se kam daam mail mil nahi rahi hai. Sabjiyon ke 80-90 aise chadhe daam dekhkar samanya log usese door hi bhag rahe hai.

Washi, Pen, Wadkhal aadi gaon se sabji yaha Murud ke market main layi jati hai. Barish ke karan sabjiyon ka bada nuksan ho gaya hai. Iss liye sabji ki aavak hi kam ho gayi hai, isliye sabjiyan mahangi ho gayi hai, aisa vyavsayk bata rahe hai.

Navratri main tarah tarah ke pakvaan banaye jate hai, upvaas hote hai, aise main sabji mahangi ho jane ke karan gruhini pareshan ho gayi hai.

photo credit: Amar Uajala

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks