Sadak Vikretaon ke liye nayi yojana: labh lene ka ziladhikari ka aavahan

 

Alibag, Sept 16: Lockdown ki wajah se tabah ho rahe sadak vikritaon ki madad ke liye PM-Swanidhi yojna shuru kee gayi hai. Jarooratmand sadak vikretaon se iss yojana ka labh uthane kee appeal Ziladhikari Nidhi Chaudhary ne ki hai.

Jarooratmand sadak vikretaonse bank main laon ke liye apply karne ki mang ki hai. Iss yojana ke tahat 10 hajar tak loan bank se turant mil jayega. Uska bhugtan 12 mahinon main kiye janepar byaj ke 6% ka bhugtan sarkar karegi. Iss yojana ki tahat nagarpalika ke parvanadharak sadak vikreta hi apply kar sakte hai.

Raigad main ab tak 35 logone loan ke liye apply kiya hai. Aur Bank of India ne sab se jyada loan manjoor kiye hai.

Lockdown ki wajah se tabah ho rahe sadak vikrtaone liye yah badi rahat ki yojana batai ja rahi hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks