Murud, Nov 3: Andolan, binate aur kai baar mang karne ke baad aakhir prashasan jaag utha hai, Murud –Aagardanda raaste ke gadhhe bharne ke aur raasta thik karne ke aadesh diye hai. Ummed hai, is raaste ki marammat thik se ho jayegi.
Murud-Aagardanda raaste ke liye state higheway scheme ke tahat 7 crore rupye manjoor kiye gaye the. Raaste kam bhi shuru kiya gaya.Lekin shasan ki taraf se keval 1 crore 75 lakh hi aada kiye gaye. Jismain Salav se Barshiv tak ka hi raasta tayyair ho paya. Paiso ke abhav ke karan thekedar ne kam band kar diya aur Barshiv se aage ka raasto bana hi nahi, aur jo hai wo bade bade gadhhon se bhara pada hai. Jis se yahan ke nagrik pareshan ho gaye hai.
Raaste kam shuru ho gaya hai aur iss kam ke liye baki nidhi jaldi uplabdh karane ki mang karnewale patr sambandhit adhikariyon ko bheja gaya hai, aisa karykari abhiyanta Rahul More ji ne kaha hai.