Sane Guruji Vidyalay ka anokha upkram!

 

Aagardanda: Corona mahamari ke kal main vidyalay aur mahavidyalay band rakhe gaye the. Usse vidyarthiyon ka bada nuksan ho raha tha. Lekin Murud ke Borli ke Sane Guruji Vidyalay ne vidyarthiyon ka nuksan talane ke liye ‘Shiksha aapke ghar’ yah anokha upkram shuru kar diya hai

Vidyarthiyon ko Kendra sthan par rakhkar unka nuksan ko talane ke liye mukhyadhyapak Sopan Adsare ji ne baki shikshkon se charcha ki. Yahan padhnewale kai vidyarthiyon ke ghar ke halat aise hai, ki unko smart phone, internet aur laptop ki suvidha uplabdh nahi hogi, yah baat pata thi. Unke liye online shiksha yah paryay nahi hai, yah jankar vidyalay ne shiksha ko hi unke ghar lekar jane ka faisla liya. Vidyalay ke shikshak gaon gaon jakar vidyarthiyon ko padha rahe hai.

 

Ismain mukhyadhyapak Adsare sir ke sathi hi Devendra Patil, Pravin Chogale, Prakash Chavahn, Neelam Ambaji, Manisha Surve-Pawar, Kavita Bhagat Pugavkar aadi shikshak gut karke gaon jakar vidyarthiyon tak shiksha pahuncha rahe hai. Unke iss kam ki har taraf sarhana ki ja rahi hai. 

 

photo credit: alamy stock photos, image used only for representation

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks