Corona ka failav abhi tak na rukne ke karan vidyalay kab shuru honge is par koi faisla nahi liya gaya hai. Vidyalay band hone ke karan school buses band hai. Jis vajah se bus chalak vidyalay aur palakon se paiso ki maang nahi kar sakte. Is paristhiti me school bus chalakon par bhukmari ka sankat aya hai.
Panvel me 80% buses karja lekar li gayi hai. Jiske karan bank, pathpedhi, aur finance ke pas se liya gaya karja kaise loutaya jaye, aisa sawal ab bus chalakon ko sata raha hai. Rajya sarkar ne vichar vinimay karke school bus chalakon ke liye kuch yojna ki jaye, aaisi maang rakhi hai. Gadiyon ka navikaran kiya jaye, vima bharne ke liye extension diya jaye, bank ke hafte bharne ke liye kamse kam 6 mahine ka kalavadhi diya jaye aur is kalavadhi me byaaj maaf kare, aisi school bus chalak sanghtna ne maang ki hai.