Mahine bhar ke baad aaya gharon main paani

down to earth

Tala, Aug 25: Yahan ke Bhanagkond goan main lagbhag 30 dinon ke baad 17 August ko ghar ke nalon se pani aana shuru ho gaya hai. Nisarg cyclone ki wajah se yahan kafi nuksaan ho chuka tha. Bijali ke kai khambe gir chuke the aur iss wajah yahan ka pani puri tarike se band tha. Ganeshotsav ke pahle gharon main pani aane se yahan ke log kafu khush hai.

Cyclone ke baad Bhanagkond ki halat kafi bigad chuki thi. Gaon main lagbhag  mahine bhar se andhere main hi tha. Bijal ke khambe girne se aur bijali ke taar tutane se yahan ka pani bhi band ho gaya tha. Prashasan se iske bare main kai shikaynte karne ke baad bhi kam jaldi shuru nahi ho paya. Uske baad bahi lagatar bhari barish ke karan repairing kam nahi ho paya.

Ab mahine bhar ke baad yahan ki halad sudhar rahi hai. Is ke liye sthanik yuva, patrkar Sanjay Rikame aur sthanik adhikari koshish kar rahe hai.

Photo credit: Down to Earth        

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks