Swayam Sahayta Gut ke mahilaon ko Bank Sakhi hone ka mauka

Alibag, Oct 23: Maharashtra Rajya Grameen Jeevanotti Abhiyanatargat kisi bhi Swayam Sahayta (Bachat) Gut ke mahila ko bank sambhandhit kam karke thodi bahut kamai karne ka mauka diya ja raha hai.

Bachat Gut main kam karte huye bank se sambhandhit kamon main adchne aati hai, unki madad karne ke hetu yah Bank Sakhi yojna ka aayojan kiya gaya hai.  

Ichhuk mahila kam se kam 12 vi paas,  35 varsh se kam umarwali aur kisi bhi bachat gut ki sadasya hona jaroori hai. Bachat gut aur bank ke beech sambandh naye rakhne hetu babk vyavhar ke jo bhi kam hai wo karna Bank Sakhi ki jimmedari rahegi.

Bank Sakhi pad ke liye 30 ankon ki pariksha hogi aur pariksha main pass hona jaroori hai.  Bank Sakhi ko mahine ke 2500 aur travelling allowance ke 500 rupye mandhan diya jayega.

Ichhuk vyakti Taluka Abhiyan Kaksha, Pen panchayat samiti yaha sampark kar sakte hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks