Tahsildar karylay main koi sunanewala hai?

IMG-20201124-WA0002-df5951ad

Murud, Nov 26: Ek aam aadmi ko saare niymon ka palan karke, saare kagjad jama karvane ke baad bhi keval ek ‘Kisan Dakhile’ ke liye 8-9 mahinon ka intezar karna pad raha hai, to isko koi kya samje! Lagta hai, Tahsildar Karyalay main aam aadmi ki sunanewala koi nahi hai. 

Yah ek pratinidhik udaharan hai. Yahan ke Tahsildar Karyalay main aisi kai kahaniya sunane ko milati hai.

Yah kisan ke naam par Usroli main jamin hai aur uska usko dakhila chahiye. Pahle to kagjad pure nahi hai, kehkar usko intezar karwaya. Phir kitane hi pheron ke bad kagzad pure hote hi, lockdown ghoshit ho gaya. Sara kam thapp ho gaya. Lekin ab jab sabhi karyalay shuru ho chuke hai, aur kam phir se shuru ho gaya hai, phir bhi e kisan dakhile ke liye intezar karna pad raha hai.  Sirf kuchh dastkhaton ke liye aur kitani bar Tahsildar office aana padega, aisa santapt sawal puchha ja raha hai. Kaha to ye bhi jaa raha hai ki shayad ‘kisi dusari wajah’ se kam nahi ho raha hai.  Samjanewalon ko ishara kafi hai. 

Yahi haal raha to aam aadami ka sarkari karyalayon par se aur sarkari prakriya se bharosa uth jayega. 

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks