Uran taluka ke har-ghar main nal connection, Murud kafi pichhe

 

Raigad: Zile ka Uran taluka har-ghar main nal connection paanewala pure rajya ka pahla taluka ban gaya hai. Uran taluka main 36108 parivar rahte hai, inmain se April 2020 se pahle 26992 parivaron ke paas nal connection tha aur 9146 naye connection lagvaye gaye. Iss taraf Uran taluka ke har ghar main ab nal hai. Iss se logon ko paani milna aasan ho jayega. Raigad zile ke liye yah abhiman ki baat hai.

Lekin iss tulna se Murud taluka ka kam bilkul bhi santoshjanak nahi hai. Zile ke sab se kam nal connection wale taluka main Pen aur Sudhagad ke baad Muruk ka number lagta hai. Baki sabhi taluka main nal connection ki sthiti Murud se kafi achhi hai. Murud taluka ke 56.14 pratishat gharon main hi nal connection hai. Jo Pen (44.84) aur Sudhagad (49.62) se tulana main thik hai. Lekin baki taluka ke mukabale bahut kharab hai. Murud main Paani ki samsya nahi hai, lekin prashasan ka kam karne prati berukhi ek badi wajah batayi ja rahi hai. Kai nagrik iss baat se naraj hai. Murud main har-ghar nal lagvane ke kam ko prashasan ne badhava dena chahiye aishi bhavna yahan ke nagrik vyakt kar rahe hai.

 

photo credit: patrika.com

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks