Vihoor main mobile connectivity na hone se vidyarthiyon ka nuksan

 

Vihoor, Oct 2: Donon taraf se pahad aur ek taraf se samudri kinara aur iske beech basan yah gaon. Prakrutik soundary ke liye janamana. Lekin aaj issi prakrutik soundary ki wajah se yahan ke vidyarthiyon ke padhai main adchane aa rahi hai.

Coron ke prabhav ke chalte lockdown ke kaal main school band hai aur online shiksha ko badhava diya jaa raha hai. Lekin online padhai karne ke liye internet connectivity hi na ho to!

Vihoor main mobile network ke liye logon ko 2-3 kilometer door chalkar jana padta hai. Shikshak bahut koshish karke lectures ke video banakar instant messaging aap ke group par bhej rahe hai. Bachho tak shiksha pahunchane ki apni taraf se puri koshish kar rahe.  Lekin wo video download karne ke liye bhi 2-3 kilometer door tak jana padta hai. Iss baat se yahan ke vidyarthiyon ke saath thi unke palak bhi pareshan ho gaye hai. Aur unke bhavishya ko lekar kafi chintit hai.

photo credit: Inext live.com,  used only for representation

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks