Vihur bandh se durgandhyukt pani

safe_image (1)-e6bb02d8

Murud taluka ke vihur bandh se majgaon, usroli, nandgaon aur vihur aise char gram panchayat ko pine ke pani ki purti hoti hai. Takriban 25 hajaar se jyada loksankhya ko iss bandh se jalpurti ki jati hai. Picchle kayi dinose iss bandh se durgandhyukt aur pile rang ke pani ki purti ho rahi hai. Iss pani ke karan gramast pareshan ho gaye hai.

Logon dwara apni shikayatein gram panchayat ke pass darj karane par sarpanch aur up sarpanch inhone jald se  jald koi madad ki jaye, aaisi maang ki gayi hai. Vihur bandh se mukhya taur par jalpurti hoti hai. Jalpurti ki jane vali pipeline lokhand ki hai aur vaha kachra na atke isliye jali lagana avashyak tha. Lekin, aisa na kiye jane ke karan pipeline me kachra atak jane se durgandhyukt pani mil raha hai.

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks