3 Hajar karod kharch karke banaya raasta bana dhokadayak

jnpt-d706a0c7

 

Karodo rupye kharch karke banaya raasta kharab darje ki wajah se dhasne ki ghatna se prashasan ke kaam ke darje par bade sawal upsthit kiye ja rahe hai. JNPT Bandar ko janewala raasta bade paimane par dhas gaya hai, iss karan iss kam ki darje par shanka upsthit ki ja rahi hai. Iss raaste ko banana ki liye 3 hajar karod rupye kharch kiye hai aur ab yahi raasta dhokadayak ban gaya hai. NHI ki nigrani main yah kam kiya gaya tha.

Raasta dhasne ki  wajah abhi tak pata nahi chali hai, lekin hum karan dhudhne ki koshish kar rahe hai. Agle 15 dinon main iss raaste ki marammat karke phir se yatayat ke liye shuru kar denge, aisa NHI ke sanchalak Prashant Fegde ne kaha hai.

 

Share this...
Share on Facebook
Facebook
Tweet about this on Twitter
Twitter

Leave a Comment

Enable Notifications    OK No thanks